twareef-e-katil kar diya
Hai ye kya julam kiya
hai ye kya sitam kiya
Maut bhi aye na ab aur
zindagi zeene na de
Wo pyar tha mera kabhi
Takraar unse ho gaya
Iqrar abhi hua na tha
Inkar dekho kar gaya
kuchh samajh aye nahi
Haye ye maine kya likha
Istemal-e-jubaan-e-sidhi
Dekho ab karta hoon main
Han to Doston kuchh yun hua
Pyar main karne laga
Ijhaar unse kar diya
Inteazaar main karne laga
Iqrar wo karenge kabhi
Sapne main bunNe laga
Intezar jab had se badha
sabr ka bandh dhahne laga
Kisi aur ki talash me
Main aage ko badhne laga
Mili ik aur mehjabeen mujhe
Unse I love you bol diye
Dil me jo armaan chhupe the
Sare chhupe raz khol diye
Pata chala wo thi saheli
Mere pahle pyar ka
Usne afsana bana diya
mere us izhar ka
Ab intezaar-e-pahli khatam
Dooji ka koi chance nahi
Apni life me lagta hai
koi bhi romance nahi
Class ki sari larkiyan
bhaiya mujhko bole hai
Mere samne mere seniors pe
ab wo dale dore hai
Ap log bhi kitne welle ho
Faltu ka itna time hai
kuchh kaam ka bolo to time nahi
meri bakwaas sunNe ko time hai
kitne besharm ho dekho to
ab tak isko padh rahe ho
gussa hone ki jagah
Man hi man tum hans rahe ho
Jao ab kuchh nahi sunata
Besharmo se mujhe nafrat hai
Main ek akela kafi nahi kya
jo ap bhi aaa gaye jamaat me..

1 comment:
itni lambi kahani likhne ko kisne kaha..
main to bina poora padhe hi comment de raha hoon...
yaar janam beet jayega yeh kahani padhne mein
Post a Comment