Kal subah jab ghar se nikla
Aisa nikla ke nikla ka nikla hi rah gaya
Ab isSe pahle ke aap bhi niklo
Main kahani aage badhata hun
To hua kuchh yun kal
office gaya fir wahan se aya
Ate hue raste me bike huee kharab
Bike nahi doston kismat huee kharaab
Bike machanic ke pas chhora
Auto ki or moonh maine mora
Auto se jab ghar main pahuncha
Auto wale ne 100 Rupaye mange
100 Rupaye deke ghar ke andar aya
Phir kuchh soch ke main ghabraya
mechanic ke pas se ghar tak ka
sirf 20 rupye tha kiraya
Jaise hi 100 rypaye yaad aya
main bahut pachhtaya
khair raat ho chuki thi
main so gaya
Subah utha to kuchh na dikhe
ankhon ke age tha andhera
Bhaga doctor ke pas
Main andha kaise ho gaya
Doctor ne ankhein dekhi
Aur mujhse wo bola
Din me ab kuchh na dikhega
Rat me jo dekhna ho dekho
tum andhje nahi hue ho
Bas ullu ban gaye ho
20 ki jagah 100 deke
main tha bahut pachhtaya
Haye wo auto wala
Mujhe ullu bana gaya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

1 comment:
tu kya Micro wave open hai??
kitna pakata hai
main to pak pak kar jal gaya hoon
Post a Comment