Mahino se khak chhan raha tha NET ka
Kursi pe size badh gaya mere PET ka
Koi larki na thi bat karne ko taiyar
Ho eid diwali ya koi bhi tyohar
Bari muskil se ik larki mili
Meri to jaise koi lottery khuli
Hi, Hello Se baat badhi bi na thi
unse dosti abhi huee bhi na thi
Unko jana maine abhi kuchh bhi na tha
Pehchana unko maine ab tak na tha
Net ne diya dhoka, Hua main youn DC
Jaise June ke mahine bigar jaye AC
Gussa Itna aya bata na sakoon
Dil ka dard ab main suna na sakoon
Kee lakhon Minnat, Duaen mangi maine
laptop tod dunga, kasam khhayi maine
Tabhi wapas Aa gaya internet aise
Ik marte hue ko mile amrit jaise
Maine jaldi se fir LOG IN kiya
Ek glass thanda pani piya
Unko dhundha fir se kaha maine HI
Unhone poochha ap ho kaun BHAI
Gussa aya kitna, karoon kya bayaan
kitne sapne dekh baitha tha main yahan
Maine keyboard pe sar apna patka
Fir chatting ka bhoot pas na fatka
Kash us waqt na hua hota DC
Kuchh baat banti, gar na hota main DC
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

2 comments:
Affi please aisi poems likhte rehna... zindagi wakai me ik mazak hai. aapki ye koshishein kai rote chehron er muskurahat le aayen shayad.
hi hi hi
chal ek ladki ki life bach gayee DC hone se
Post a Comment